Sunday 15 September 2013

Badalte rishtey...

suna tha rishtey badalte nahin,
waqt badalta hai,
haalaat badalte hai,
par dil mein basey ehsaas badalte nahin...
zindagi ki kitaab ke,
kuch aise panney khule,
jhooth ka nakaab utarne laga,
sach se humara saamna hua...
samajh aane lagi zindagi ki sachai,
jinse ki humne mahobbat,ab wahi preet lagti hai parayi,
har ehsaas ki,har baat ki...
unse judi har yaad ki,
samajh aane lagi hume geherai...
humne apno ko badalte dekha,
haalaat ke saath bigadte dekha,
jo humari har kahani sunte the,
aaj unhe hi khamosh hote dekha...
apno ko paraye hote dekha,
waqt ki tarah rukh badalte dekha...
jinki aankhon mein basey the hum,
unki hi nigahon se khud ko ojhal hote dekha...
kyun apne sab paraye ho jaate hai ?
jo kabhi the sirf humare,
ajnabi ban jaate hai...
kaun keheta rishtey badalte nahin,
Jab unhe nibhane wale insaan hi badal jaate hai...
Sim
June 2007