Maa..
Tum ho duniyan mein us khudaa ka saya..
Tumhe khudaa ne khud jaisa hi banaya..
Tum hi to ho uski murat,
Tumhari kaya, tumhari rooh hai sabse khoobsurat..
Jab hum nahi they kok mein tumhari,
Tab se hi mangti ho tum khair humari..
Jab eeshwar ne suni tumhari pukar,
Mehsoos kiya tumne Hume apne andar maa..
Pal pal tumne apna khayal rakha,
Apne pyar se hi to maa, tumne Hume seencha..
Kahin jaane se,Kuch galat khaane se,
Darti thi tum Hume khone se..
Dard ki har leher sahi tumne,
Najane kitne aansun piye tumne..
Par jab hum aye Duniya mein
Tumne hass kar gale se lagaya hume..
Jab nanhe haatho se humne tumhe chua,
Tumhare rohm rohm ne Di Hume duaa..
Hume dekh dekh tum muskayi,
Hum tumhare hai, ye soch tumhari aankh bhar ayi..
Raat din jaag kar Hume tumne pala,
Apni neend gavaa kar, Hume sulaya..
Jab nanhe kadmo se hum chalne lage,
Ungali tham, tumhari hum badahne lage..
Jab jab hum girey, tumne uthaya,
Gale se laga kar, humara haunsla badaya..
Ek pal bhi apni aankhon ojhal na hone diya,
Maa tumne Itna sab kaise kiya..?
Humare liye tum din raat jaagi,
Par chehre pe Shikan ki leher kabhi na aayi..
Hume sanwaarte sanwaarte, khud ko bhool gayi,
Maa tum to aayina hi dekhna bhool gayi..
Jab bhi kabhi papa ne Hume dantaa,
Apne anchal mein tumne Hume chupaya..
Pyar se wahi sab phir samjhaya,
Humari galti ka ehsaas karvaya..
Aapne Hume sab sikhaya,
Sahi galat, ache burey ka antar samjhaya..
Galti ki Humne to dantaa,
Par phir khud hi gale se lagaya..
Jab aayi school Jane ki baari,
Humara Mann hua bhaari,
Maa ko chhod kar kaise jaye,
Tumhare siva maa.. Sab lagte hai paraye..
Jab pareeksha se tha Hume darr lagta,
Tumhara ek sparsh tha Hume himatt deta..
Tumse pooch kar hum the jaate,
" maa sab acha hoga na"
Tumhari muskaan dekh, hum har darr bhool jate..
Jab jab Mai thak kar ayi,
Tumhari goud mein maine jannat payi..
Tumhe gale se laga kar Jo sukun paya,
Kaisa ye rishta hai, maa samajh na aya..
Najane kab tum maa se saheli bani,
Har takleef, har kahani tumne humari suni..
Dheere dheere hume sab sikhaya,
Duniya mein jeene ke yogya banaya..
Apni har takleef humse chupayi,
Par Chup na saki ek sachayi..
Jis sachayi ne Hume duba diya,
Hume humse hi cheen liya..
Din raat tumhe tadapte dekha,
Humare liye, apni beemare se ladte dekha..
Koi dawa, koi duaa kaam na aayi,
jab us eeshwar ne hi thi tumse preet lagayi..
Jab aya tumhare jaane ka waqt,
Aankhon se behene laga rakt..
Tumhe kaise bachaye,
Tumhe khuda se kaise chupaye..
Us ne hi to tumhe humare liye banaya tha,
Par shayad humne tumhe khoob sataya tha..
Mukt kar diya us ne tumhe,
Chhod diya duniya ki Bheed mein akela Hume..
Ab kis ke paas maa Mai Jaun,
Kisey "maa maa" keh ke Mai pukarun,
Sab hai paas, bas tum nahi,
Kaise samjhaun ke tum jaisa maa duniya mein koi nahi..
Mai badi ho gayi hun maa,
log kehete hai tumhari parchayi hun mai maa..
par tum jaisa to koi nahi,
mai to apke charno ki dhool bhi nahi..
Aaj mai tumhe sanwarna chahti hun,
tumhare liye kuch khareedna chahti hun..
sab apni maa ke liye kuch karte hai,
mai bhi apke liye kuch karna chahti hun..
kuch baaten hai jo sirf apse hi kehena chahti hun,
papa ki,naini ki, aur ab ankur ki shikayat karna chahti hun..
maa beti ka rishta hi nirala hota hai,
bas is rishtey ko phirse mehsoos karna chahti hun..
Jab kabhi kuch acha dekhti hun,
tumhari mann mein hi tasveer banati hun,
vo chunri pehene,kajal lagaye,
mann mein tumhari kalpana karti hun..
Har roop mein tum sabse sundar ho,
tum to maa mera mandir ho..
poojti hun tumhe us eeshwar ki tarah,
tum hi ho meri pari meri apsara..
Ab khair tumhari mai khudaa se mangti hun,
rakhe vo tumhe goud mein apni yahi chahti hun..
har janam mein bano tum meri maa,
yahi hai apki sonu ke dil ki duaa..
apki beti...